Mujh Sa Na De Zamaane Ko Parwardigaar Dil

Aashufta Dil Farefta Dil Beqaraar Dil

Mash’hoor Ho Gayi Hai Ziyarat Shaheed Ki

Khoon-Kushta Aarzoo Ka Bana Hai Mazaar Dil

Mujh Sa Na De Zamaane Ko Parwardigaar Dil

Niklay Meri Baghal Se Woh Aisi Tarrap Ke Saath

Yaad Aa Gaya Mujhe Wahin Be-Ikhtiyaar Dil

Mujh Sa Na De Zamaane Ko Parwardigaar Dil

Usne Kaha Hai Sabar Parrega Raqeeb Ka

Usne Kaha Hai Sabar Parrega Raqeeb Ka

Le Aur Beqaraar Ho Ae Beqaraar Dil

Mujh Sa Na De Zamaane Ko Parwardigaar Dil

Aashufta Dil Farefta Dil Beqaraar Dil

Mujh Sa Na De Zamaane Ko Parwardigaar Dil

Poet : Daagh Dehlvi

<<<<Previous Ghazal   This Album   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

Top