Waqt Ki Umar Kya Barri Hogi

Waqt Ki Umar Kya Barri Hogi

Ek Tere Wasl Ki Gharri Hogi

Waqt Ki Umar Kya Barri Hogi

 

 

Dastaken De Rahi Hai Palkon Par

Dastaken De Rahi Hai Palkon Par

Dastaken De Rahi Hai Palkon Par

Koi Barsaat Ki Jharri Hogi

Koi Barsaat Ki Jharri Hogi

 

 

Kya Khabar Thi Ke Nok-E-Khanjar Bhi

Kya Khabar Thi Ke Nok-E-Khanjar Bhi

Kya Khabar Thi Ke Nok-E-Khanjar Bhi

Phool Ki Aik Pankhrri Hogi

Phool Ki Aik Pankhrri Hogi

 

 

Kyun Girahh Gesoo’on Mein Daali Hai

Kyun Girahh Gesoo’on Mein Daali Hai

Kyun Girahh Gesoo’on Mein Daali Hai

Jaan Kisi Phool Ki Arri Hogi

Jaan Kisi Phool Ki Arri Hogi

 

 

ILtijaa Ka Malaal Kya Kijiye

ILtijaa Ka Malaal Kya Kijiye

ILtijaa Ka Malaal Kya Kijiye

Unnke Dar Par Kahin Parri Hogi

Unnke Dar Par Kahin Parri Hogi

 

 

Maut Kehte Hain Jisko Ae * Saghar *

Maut Kehte Hain Jisko Ae * Saghar *

Maut Kehte Hain Jisko Ae * Saghar *

Zindagi Ki Koi Karri Hogi

Zindagi Ki Koi Karri Hogi

Ek Tere Wasl Ki Gharri Hogi

Waqt Ki Umar Kya Barri Hogi

Waqt Ki Umar Kya Barri Hogi

 

 

Poet : Saghar Siddiqui


<<<<Previous Ghazal   This Album   END

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top