Meri Aankhon Mein Jo

Behta Howa Ye Paani Hai

Meri Aankhon Mein Jo

Behta Howa Ye Paani Hai

Teri Chaahat Ki Yahi

Aakhri Nishaani Hai

Meri Aankhon Mein Jo

Behta Howa Ye Paani Hai

 

 

Maine Socha Tha Tujhe

Kya Magar Tu Kya Nikla

Tu Bhi Auron Ki Tarah

Kitna Bewafa Nikla

Door Jaana Tha To Phir

Paas Bulaaya Kyun Tha

Tu Hamara Hai

Ye Ehsaas Dilaaya Kyun Tha

Tu Hamara Hai

Ye Ehsaas Dilaaya Kyun Tha

Meri Barbadi Faqat

Teri Mehrubani Hai

Teri Chaahat Ki Yahi

Aakhri Nishaani Hai

Meri Aankhon Mein Jo

Behta Howa Ye Paani Hai

 

 

Hum To Barbaad Howe

Bas Yahi Khataa Kar Ke

Jhoote Waadon Pe Sadaa

Tere Bharosa Kar Ke

Kaun Se Dil Se Bata

Tu Ne Bhulaya Mujhko

Kar Ke Dhoka Ye

Mere Saath Mila Kya Tujhko

Kar Ke Dhoka Ye

Mere Saath Mila Kya Tujhko

Maine Ki Tujhse Wafa

Ye Meri Nadaani Hai

Teri Chaahat Ki Yahi

Aakhri Nishaani Hai

Meri Aankhon Mein Jo

Behta Howa Ye Paani Hai

 

 

Poet : Faaiz Anwar


         This Album   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top