Ye Shehar-E-Tamanna Ameeron Ki Duniya

Ye Khudgharz Aur Bezameeron Ki Duniya

Yahan Sukh Mujhe Do Jahaan Ka Mila Hai

Mera Gaaon Jaane Kahan Khhu Gaya Hai

Mera Gaaon Jaane Kahan Khhu Gaya Hai

Ye Shehar-E-Tamanna Ameeron Ki Duniya

Ye Khudgharz Aur Bezameeron Ki Duniya

Yahan Sukh Mujhe Do Jahaan Ka Mila Hai

Mera Gaaon Jaane Kahan Khhu Gaya Hai

Mera Gaaon Jaane Kahan Khhu Gaya Hai

 

 

Woh Gaaon Ke Bachche

Woh Bachchon Ki Tooli

Woh Holi Woh Masoom Chaahat Ki Boli

Woh Gaaon Ke Bachche

Woh Bachchon Ki Tooli

Woh Holi Woh Masoom Chaahat Ki Boli

Woh Guli Woh Danda Woh Larrna Jhagarrna

Magar Haath Phir Dosti Se Pakarrna

Woh Manzar Har Ek

Yaad Phir Aa Raha Hai

Mera Gaaon Jaane Kahan Khhu Gaya Hai

Mera Gaaon Jaane Kahan Khhu Gaya Hai

 

 

Woh Chaupaal Woh Aalhaa Odal Ke Qisse

Woh Geeton Ki Ganga Woh Saawan Ke Jhoolay

Woh Chaupaal Woh Aalhaa Odal Ke Qisse

Woh Geeton Ki Ganga Woh Saawan Ke Jhoolay

Woh Lut’ta Howa Pyaar Woh Zindagani

Hai Mere Liye Bhooli Bisri Kahani

Chalakti Hain Aankhen Yeh Dil Ro Raha Hai

Mera Gaaon Jaane Kahan Khhu Gaya Hai

Mera Gaaon Jaane Kahan Khhu Gaya Hai

 

 

Ye Chaandi Ye Soona Ye Heeray Ye Motii

Thi Anmol Inn Sab Se Ek Sookhi Roti

Ye Chaandi Ye Soona Ye Heeray Ye Motii

Thi Anmol Inn Sab Se Ek Sookhi Roti

Jo Maine Ganwayan Na Koi Ganwaye

Ke Ghar Chorr Koi Na Pardes Aaye

Milega Na Ab Woh Jo Peeche Lutaa Len

Mera Gaaon Jaane Kahan Khhu Gaya Hai

Mera Gaaon Jaane Kahan Khhu Gaya Hai

Ye Shehar-E-Tamanna Ameeron Ki Duniya

Ye Khudgharz Aur Bezameeron Ki Duniya

Yahan Sukh Mujhe Do Jahaan Ka Mila Hai

Mera Gaaon Jaane Kahan Khhu Gaya Hai

Mera Gaaon Jaane Kahan Khhu Gaya Hai

Mera Gaaon Jaane….

 

 

Poet : Ibrahim Ashk


<<<<Previous Ghazal  This Album  Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top