Jaam O Meena Meri Nazron Se

Hata De Saaqi

Jaam O Meena Meri Nazron Se

Hata De Saaqi

Ye Jo Aankhon Mein Chalakti Hai

Pila De Saaqi

Jaam O Meena Meri Nazron Se

Hata De Saaqi

Jaam O Meena Meri Nazron Se

Hata De Saaqi

 

 

Shola-E-Ishq Se Chalka De

Mere Sheeshe Ko

Shola-E-Ishq Se Chalka De

Mere Sheeshe Ko

Aur Betaab Ko Betaab

Bana De Saaqi

Jaam O Meena Meri Nazron Se

Hata De Saaqi

 

 

Phir Kabhi Hosh Na Aaye

To Koi Baat Nahin

Phir Kabhi Hosh Na Aaye

To Koi Baat Nahin

Aaj Hum Jitni Piyen

Utni Pila De Saaqi

Jaam O Meena Meri Nazron Se

Hata De Saaqi

Jaam O Meena Meri Nazron Se

Hata De Saaqi

 

 

Josh-E-Masti Mein Baghal-Geer Hoon

Bichrre Howe Dil

Josh-E-Masti Mein Baghal-Geer Hoon

Bichrre Howe Dil

Aaj Insaan Ko Insaan

Bana De Saaqi

Jaam O Meena Meri Nazron Se

Hata De Saaqi

Jaam O Meena Meri Nazron Se

Hata De Saaqi

 

 

Zindagi Khuwaab-E-Musalsal Ke Siwa

Kuch Bhi Nahin

Zindagi Khuwaab-E-Musalsal Ke Siwa

Kuch Bhi Nahin

Isski Taabeer To * Darshan * Ko

Bata De Saaqi

Jaam O Meena Meri Nazron Se

Hata De Saaqi

Jaam O Meena Meri Nazron Se

Hata De Saaqi

Ye Jo Aankhon Mein Chalakti Hai

Pila De Saaqi

Jaam O Meena Meri Nazron Se

Hata De Saaqi

Jaam O Meena Meri Nazron Se

Hata De Saaqi

 

Poet : Darshan Singh


<<<<Previous Ghazal   This Album   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top