Aik Naghma Aik Taara

Aik Naghma Aik Taara

Aik Ghuncha Aik Jaam

Aik Naghma Aik Taara

Aik Ghuncha Aik Jaam

Ae Gham-E-Dauraan

Gham-E-Dauraan Tujhe Mera Salam

Aik Naghma Aik Taara

Aik Ghuncha Aik Jaam

 

 

Zulf Aawara Garebaan Chaak

Ghabraayi Nazar

Zulf Aawara Garebaan Chaak

Ghabraayi Nazar

Inn Dinon Ye Hai Jahan Mein

Zindagani Ka Nizaam

Inn Dinon Ye Hai Jahan Mein

Zindagani Ka Nizaam

Ae Gham-E-Dauraan

Gham-E-Dauraan Tujhe Mera Salam

Aik Naghma Aik Taara

Aik Ghuncha Aik Jaam

 

 

Chand Taare Toot Kar

Daaman Mein Mere Aa Gire

Chand Taare Toot Kar

Daaman Mein Mere Aa Gire

Maine Poochha Tha Sitaaron Se

Tere Gham Ka Maqam

Maine Poochha Tha Sitaaron Se

Tere Gham Ka Maqam

Ae Gham-E-Dauraan

Gham-E-Dauraan Tujhe Mera Salam

Aik Naghma Aik Taara

Aik Ghuncha Aik Jaam

 

 

Parr Gayin Pairaahan-E-Subh-E-Chaman

Par Silwaten

Parr Gayin Pairaahan-E-Subh-E-Chaman

Par Silwaten

Yaad Aa Kar Reh Gayi Hai

Bekhudhi Ki Aik Shaam

Yaad Aa Kar Reh Gayi Hai

Bekhudhi Ki Aik Shaam

Ae Gham-E-Dauraan

Gham-E-Dauraan Tujhe Mera Salam

Aik Naghma Aik Taara

Aik Ghuncha Aik Jaam

 

 

Teri Ismat Ho Ke Ho

Mere Hunar Ki Chaandni

Teri Ismat Ho Ke Ho

Mere Hunar Ki Chaandni

Waqt Ke Baazar Mein

Har Cheez Ke Lagte Hain Daam

Waqt Ke Baazar Mein

Har Cheez Ke Lagte Hain Daam

Ae Gham-E-Dauraan

Gham-E-Dauraan Tujhe Mera Salam

Aik Naghma Aik Taara

Aik Ghuncha Aik Jaam

Ae Gham-E-Dauraan

Gham-E-Dauraan Tujhe Mera Salam

Aik Naghma Aik Taara

Aik Ghuncha Aik Jaam

 

 

Poet : Saghar Siddiqui


<<<<Previous Ghazal   This Album   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top