Silsilay Torr Gaya

Woh Sabhi Jaate Jaate

Silsilay Torr Gaya

Woh Sabhi Jaate Jaate

Warna Itne To Maraasim Thay

Ke Aate Jaate

Silsilay Torr Gaya

Woh Sabhi Jaate Jaate

 

 

Itna Aasaan Tha

Tere Hijr Mein Marna Jaanan

Itna Aasaan Tha

Tere Hijr Mein Marna Jaanan

Phir Bhi Ek Umar Lagi

Jaan Se Jaate Jaate

Silsilay Torr Gaya

Woh Sabhi Jaate Jaate

 

 

Shikwa-E-Zulmat-E-Shab

Se To Kahin Behtar Tha

Shikwa-E-Zulmat-E-Shab

Se To Kahin Behtar Tha

Apne Hisse Ki Koi Shamma

Jalaate Jaate

Silsilay Torr Gaya

Woh Sabhi Jaate Jaate

 

 

Usski Woh Jaane

Ussey Paas-E-Wafa Tha Ke Na Tha

Usski Woh Jaane

Ussey Paas-E-Wafa Tha Ke Na Tha

Tum * Faraz * Apni

Taraf Se To Nibhaate Jaate

Silsilay Torr Gaya

Woh Sabhi Jaate Jaate

Warna Itne To Maraasim Thay

Ke Aate Jaate

Silsilay Torr Gaya

Woh Sabhi Jaate Jaate

 

 

Poet : Ahmed Faraz


<<<<Previous Ghazal   This Album   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top