Aage Barrhe Na Qissa-E-Ishq-E-Butaan Se Hum

Sab Kuch Kahan Magar Na Khule Raazdaan Se Hum

Ab Bhaagte Hain Saaya-E-Ishq-E-Butaan Se Hum

Kuch Dil Se Hain Daray Howe Kuch Aasmaan Se Hum

Aage Barrhe Na Qissa-E-Ishq-E-Butaan Se Hum

Ab Shauq Se Bigaarr Ki Baatein Kiya Karo

Kuch Paa Gaye Hain Aapki Tarz-E-Adaa Se Hum

Aage Barrhe Na Qissa-E-Ishq-E-Butaan Se Hum

Lazzat Tere Kalaam Mein Aayi Kahan Se Yeh

Poochenge Jaa Ke * Haali*-E-Jaado-Bayaan Se Hum

Aage Barrhe Na Qissa-E-Ishq-E-Butaan Se Hum

Sab Kuch Kahan Magar Na Khule Raazdaan Se Hum

Aage Barrhe Na Qissa-E-Ishq-E-Butaan Se Hum

Poet : Altaf Hussain Hali

                           This Album   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

Top