Husn Ke Jazeeron Mein

Roop Ke Kinaaron Par

Reshmi Andhere Hain

Surmai Ujaale Hain

Ek Naaz Afreen Dil Par

Qabza Jamaaye Baithi Hai

Jiski Jheel Aankhon Mein

Do Neel-Goon Se Pyaale Hain

 

 

Na Pooch Parizaadon Se

Yeh Hijr Kaise Jhaila Hai

Yeh Tann Badan To Chalni Hai

Aur Rooh Par Bhi Chhaale Hain

Kaise Jaan Paaoge

Ishq Mein Kya Guzri Hai

Kitne Zakham Khaaye Hain

Kitne Dard Paale Hain

 

 

Saaiyaan Ve

Saaiyaan Ve

Saaiyaan Ve

Khuwahishon Ke Jangal Mein

Hasraton Ke Bistar Par

Jism To Gulaabi Hai

Aur Dil Se Kaale Hain

Main Roop Ka Pujaari Hoon

Main Lafz Ka Bhikaari Hoon

Lekin Jahan Main Basta Hoon

Wahan Mandiron Pe Taale Hain

Kya Ishq Woh Nibaahenge

Kya Husn Ko Saraahenge

Taareek Jin Ke Chehre Hain

Muqaddaron Pe Jaale Hain

 

 

Dushmanon Se Kya Shikwa

Kya Gila Raqeebon Se

Yeh Saanp Aasteenon Mein

Hum Ne Khud Hi Paale Hain

Na Pooch Parizaadon Se

Yeh Hijr Kaise Jhaila Hai

Yeh Tann Badan To Chalni Hai

Aur Rooh Par Bhi Chhaale Hain

Kaise Jaan Paaoge

Ishq Mein Kya Guzri Hai

Kitne Zakham Khaaye Hain

Kitne Dard Paale Hain

 

 

 

Poet : Hashim Nadeem Khan

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top