Koi Raat Aisi Bhi Aaye

Ke Ye Manzar Dekhon

Koi Raat Aisi Bhi Aaye

Ke Ye Manzar Dekhon

Teri Peshaani Ho Aur

Apna Muqaddar Dekhon

Koi Raat Aisi Bhi Aaye

Ke Ye Manzar Dekhon

 

 

Saare Mausam Tere Aa Jaane Se

Lagte Hain Bahaar

Saare Mausam Tere Aa Jaane Se

Lagte Hain Bahaar

Jab Bhi Dekhon Tujhe

Aa Jaaye Mere Dil Ko Qaraar

Sochta Hoon Tujhe Palkon Pe

Saja Kar Dekhon

Koi Raat Aisi Bhi Aaye

Ke Ye Manzar Dekhon

 

 

Kisko Batlaaon Yahan Kya Hain

Zamaane Ke Sitam

Kisko Batlaaon Yahan Kya Hain

Zamaane Ke Sitam

Kaise Dikhlaaon Yahan Main

Tera Aaina-E-Gham

Lab Hilaaon To Har Ek Haath

Mein Patthar Dekhon

Koi Raat Aisi Bhi Aaye

Ke Ye Manzar Dekhon

 

 

Jab Andhera Ho Jala Deti Hai

Shammen Aksar

Jab Andhera Ho Jala Deti Hai

Shammen Aksar

Log Kehte Hain Sada Hai

Teri Shola Paikar

Gunguna Yun Teri Awaaz Ko

Chhu Kar Dekhon

Koi Raat Aisi Bhi Aaye

Ke Ye Manzar Dekhon

Teri Peshaani Ho Aur

Apna Muqaddar Dekhon

Koi Raat Aisi Bhi Aaye

Ke Ye Manzar Dekhon

 

 

Poet : Nasir Ali Nasir


<<<<Previous Ghazal   This Album   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top