Har Gosha Gulistaan Tha

Kal Raat Jahan Main Tha

Har Gosha Gulistaan Tha

Kal Raat Jahan Main Tha

Ek Jashan E Baharan Tha

Kal Raat Jahan Main Tha

Har Gosha Gulistaan Tha

Kal Raat Jahan Main Tha

 

 

Naghme Thay Hawaon Mein

Jaado Tha Fizaa’on Mein

Naghme Thay Hawaon Mein

Jaado Tha Fizaa’on Mein

Har Saans Ghazalfaan Tha

Kal Raat Jahan Main Tha

Har Saans Ghazalfaan Tha

Kal Raat Jahan Main Tha

 

 

Darya E Muhabbat Mein

Kashti Thi Jawani Ki

Darya E Muhabbat Mein

Kashti Thi Jawani Ki

Jazbat Ka Toofan Tha

Kal Raat Jahan Main Tha

Har Gosha Gulistaan Tha

Kal Raat Jahan Main Tha

 

 

Mehtab Tha Baanhon Mein

Jalwe Thay Nigaahon Mein

Mehtab Tha Baanhon Mein

Jalwe Thay Nigaahon Mein

Har Simt Charaghan Tha

Kal Raat Jahan Main Tha

Har Gosha Gulistaan Tha

Kal Raat Jahan Main Tha

Ek Jashan E Baharan Tha

Kal Raat Jahan Main Tha

 

Poet : Khalid Kuwaiti


<<<<Previous Ghazal   This Album   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top