Ek Kashti Beeti Yaadon Ki

Behti Hai Samay Ke Paani Mein

Ek Kashti Beeti Yaadon Ki

Behti Hai Samay Ke Paani Mein

Koi Deep Sa Jaise Jalta Ho

Koi Deep Sa Jaise Jalta Ho

Meri Raaton Ki Veerani Mein

Ek Kashti Beeti Yaadon Ki

Behti Hai Samay Ke Paani Mein

Koi Deep Sa Jaise Jalta Ho

Koi Deep Sa Jaise Jalta Ho

Meri Raaton Ki Veerani Mein

Ek Kashti Beeti Yaadon Ki

Behti Hai Samay Ke Paani Mein

 

 

Tum Shaam Ko Jab Ghar Aate Thay

Mere Saath Parinde Gaate Thay

Tum Shaam Ko Jab Ghar Aate Thay

Mere Saath Parinde Gaate Thay

Mere Chotay Se Ghar Aangan Mein

Tum Kitni Khushiyan Laate Thay

Tum Rasta Kaise Bhool Gaye

Tum Rasta Kaise Bhool Gaye

Main Ab Tak Hoon Hairaani Mein

Ek Kashti Beeti Yaadon Ki

Behti Hai Samay Ke Paani Mein

 

 

Woh Din Thay Saare Khushiyun Ke

Woh Raaten Rangeen Khuwaabon Ki

Woh Din Thay Saare Khushiyun Ke

Woh Raaten Rangeen Khuwaabon Ki

Woh Shaamen Roshan Taaron Ke

Woh Subhen Surkh Gulaabon Ki

Phir Kisne Aansoo Chalkaaye

Phir Kisne Aansoo Chalkaaye

Hansti Howi Pyaar Kahani Mein

Ek Kashti Beeti Yaadon Ki

Behti Hai Samay Ke Paani Mein

 

 

Ae Kaash Tujhe Ehsaas Ho Ye

Kis Morrh Pe Kis Ko Chorra Hai

Ae Kaash Tujhe Ehsaas Ho Ye

Kis Morrh Pe Kis Ko Chorra Hai

Milkar Jo Sapne Dekhe Thay

Kis Bedardi Se Torra Hai

Is Rog Ka Chaara Kaun Kare

Is Rog Ka Chaara Kaun Kare

Jo Rog Laga Nadaani Mein

Ek Kashti Beeti Yaadon Ki

Behti Hai Samay Ke Paani Mein

 

 

Ye Milna Aur Bicharr Jana

Taqdeer Ki Saari Baaten Hain

Ye Milna Aur Bicharr Jana

Taqdeer Ki Saari Baaten Hain

Hain Aansoo Meri Palkon Pe

Teri Bakhshish Ki Saughaaten Hain

Na Beeti Rut Ki Baat Karo

Na Beeti Rut Ki Baat Karo

Na Aag Lagao Paani Mein

Ek Kashti Beeti Yaadon Ki

Behti Hai Samay Ke Paani Mein

 

 

Ek Kashti Beeti Yaadon Ki

Behti Hai Samay Ke Paani Mein

Koi Deep Sa Jaise Jalta Ho

Koi Deep Sa Jaise Jalta Ho

Meri Raaton Ki Veerani Mein

Ek Kashti Beeti Yaadon Ki

Behti Hai Samay Ke Paani Mein

Koi Deep Sa Jaise Jalta Ho

Koi Deep Sa Jaise Jalta Ho

Meri Raaton Ki Veerani Mein

Ek Kashti Beeti Yaadon Ki

Behti Hai Samay Ke Paani Mein

 

Poet : Zahid Fakhri


      This Album   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top