Bhari Dupehari Mein Andheyara

Bhari Dupehari Mein Andheyara

Sooraj Parchhai Se Haara

Bhari Dupehari Mein Andheyara

Sooraj Parchhai Se Haara

Antartam Ka Neh Nichorren

Antartam Ka Neh Nichorren

Bujhi Howi Baaten Sulgaayen

Aao Phir Se Diya Jalayen

Aao Phir Se Diya Jalayen

Aao Phir Se Diya Jalayen

 

 

Hum Parrao Ko Samjhe Manzil

Hum Parrao Ko Samjhe Manzil

Laksh Howa Aankhon Se Oojhal

Vartmaan Ke Mooh Jaal Mein

Vartmaan Ke Mooh Jaal Mein

Aane Wala Kal Na Bhulaayen

Aao Phir Se Diya Jalayen

Aao Phir Se Diya Jalayen

Aao Phir Se Diya Jalayen

 

 

Aahuti Baaki Yagya Adhura

Apnon Ke Vighnon Ne Ghhera

Aahuti Baaki Yagya Adhura

Apnon Ke Vighnon Ne Ghhera

Antim Jay Ka Vajr Bana Den

Antim Jay Ka Vajr Bana Den

Nawa Dadhichi Haddiyan Galayen

Aao Phir Se Diya Jalayen

Aao Phir Se Diya Jalayen

Aao Phir Se Diya Jalayen

 

 

Bhari Dupehari Mein Andheyara

Sooraj Parchhai Se Haara

Antartam Ka Neh Nichorren

Antartam Ka Neh Nichorren

Bujhi Howi Baaten Sulgaayen

Aao Phir Se Diya Jalayen

Aao Phir Se Diya Jalayen

Aao Phir Se Diya Jalayen

Aao Phir Se Diya Jalayen

Diya Jalayen

Diya Jalayen

Diya Jalayen

Diya Jalayen

 

 

Poet : Atal Bihari Vajpaee


      This Album   Next Song>>>>


Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top