Tere Chehre Ki Tarah Aur

Mere Seene Ki Tarah

Tere Chehre Ki Tarah Aur

Mere Seene Ki Tarah

Mera Har Sher Damakta Hai

Nageene Ki Tarah

Tere Chehre Ki Tarah Aur

Mere Seene Ki Tarah

 

 

Phool Jaage Hain Kahin

Tere Badan Ki Maanind

Phool Jaage Hain Kahin

Tere Badan Ki Maanind

Phool Jaage Hain Kahin

Tere Badan Ki Maanind

Oos Mehki Hai Kahin

Tere Paseene Ki Tarah

Tere Chehre Ki Tarah Aur

Mere Seene Ki Tarah

 

 

Ae Mujhe Chorr Ke

Toofan Mein Jaane Walay

Ae Mujhe Chorr Ke

Toofan Mein Jaane Walay

Ae Mujhe Chorr Ke

Toofan Mein Jaane Walay

Dost Hota Hai Talatum Mein

Safeene Ki Tarah

Tere Chehre Ki Tarah Aur

Mere Seene Ki Tarah

 

 

Tera Waada Tha Ke Iss

Maah Zaroor Aayega

Tera Waada Tha Ke Iss

Maah Zaroor Aayega

Tera Waada Tha Ke Iss

Maah Zaroor Aayega

Ab To Har Roz Guzarta Hai

Maheene Ki Tarah

Tere Chehre Ki Tarah Aur

Mere Seene Ki Tarah

Tere Chehre Ki Tarah Aur

Mere Seene Ki Tarah

Mera Har Sher Damakta Hai

Nageene Ki Tarah

Tere Chehre Ki Tarah Aur

Mere Seene Ki Tarah

 

Poet : Mustafa Zaidi


<<<<Previous Ghazal   This Album   End

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top