Badan Mein Aag Si Chehra Gulaab Jaisa Hai

Ke Zehar E Gham Ka Nasha Bhi Sharaab Jaisa Hai

Kahan Woh Qurb Ke Ab To Ye Haal Hai Jaise

Tere Firaaq Ka Aalam Bhi Khuwaab Jaisa Hai

Badan Mein Aag Si Chehra Gulaab Jaisa Hai

Magar Kabhi Koi Dekhe Koi Parrhe To Sahi

Dil Aaina Hai To Chehra Kitaab Jaisa Hai

Badan Mein Aag Si Chehra Gulaab Jaisa Hai

Woh Saamne Hai Magar Tishnagi Nahin Jaati

Ye Kya Sitam Hai Ke Darya Saraab Jaisa Hai

Badan Mein Aag Si Chehra Gulaab Jaisa Hai

*Faraz* Sang E Malamat Se Zakhm Zakhm Sahi

Humein Aziz Hai Khaana Kharab Jaisa Hai

Badan Mein Aag Si Chehra Gulaab Jaisa Hai

Ke Zehar E Gham Ka Nasha Bhi Sharaab Jaisa Hai

Badan Mein Aag Si Chehra Gulaab Jaisa Hai

Poet : Ahmed Faraz

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

Top