Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna

Kabhi Darakhton Pe Naam Likhna

Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna

Kabhi Darakhton Pe Naam Likhna

Humein Bhi Yaad Aaj Tak Woh

Nazar Se Harf E Salaam Likhna

Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna

Kabhi Darakhton Pe Naam Likhna

Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna

Kabhi Darakhton Pe Naam Likhna

 

 

Woh Chaand Chehre

Woh Behki Baaten

Sulagte Din Thay Mehekti Raaten

Woh Chaand Chehre

Woh Behki Baaten

Sulagte Din Thay Mehekti Raaten

Woh Chaand Chehre

Woh Behki Baaten

Sulagte Din Thay Mehekti Raaten

Woh Chotay Chotay Se

Kaaghazon Par

Muhabbaton Ke Payaam Likhna

Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna

Kabhi Darakhton Pe Naam Likhna

 

 

Gulaab Chehron Se Dil Lagana

Woh Chupke Chupke Nazar Milana

Gulaab Chehron Se Dil Lagana

Woh Chupke Chupke Nazar Milana

Gulaab Chehron Se Dil Lagana

Woh Chupke Chupke Nazar Milana

Woh Aarzo’on Ke Khuwaab Bun’na

Woh Qissa E Na-Tamaam Likhna

Woh Aarzo’on Ke Khuwaab Bun’na

Woh Qissa E Na-Tamaam Likhna

 

 

Gayi Rut’on Mein *Hasan* Hamare

Bas Aik Hi To Yeh Mashghala Tha

Gayi Rut’on Mein *Hasan* Hamare

Bas Aik Hi To Yeh Mashghala Tha

Gayi Rut’on Mein *Hasan* Hamare

Bas Aik Hi To Yeh Mashghala Tha

Kisi Ke Chehre Ko Subhu Kehna

Kisi Ki Zulfon Ko Shaam Likhna

Kisi Ke Chehre Ko Subhu Kehna

Kisi Ki Zulfon Ko Shaam Likhna

Humein Bhi Yaad Aaj Tak Woh

Nazar Se Harf E Salaam Likhna

Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna

Kabhi Darakhton Pe Naam Likhna

Kabhi Kitabon Mein Phool Rakhna

Kabhi Darakhton Pe Naam Likhna

 

Poet : Hasan Rizvi


<<<<Previous Ghazal   This Album   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top