Na Jaane Kab Woh Palat Aayen

Dar Khula Rakhna

Na Jaane Kab Woh Palat Aayen

Dar Khula Rakhna

Gaye Howon Ke Liye Dil Mein

Kuch Jagah Rakhna

Na Jaane Kab Woh Palat Aayen

Dar Khula Rakhna

 

 

Hazaar Talkhh Hoon Yaaden

Magar Woh Jab Bhi Mile

Hazaar Talkhh Hoon Yaaden

Magar Woh Jab Bhi Mile

Zubaan Pe Achay Dinon Ka Hi

Zaaiqa Rakhna

Na Jaane Kab Woh Palat Aayen

Dar Khula Rakhna

 

 

Na Ho Ke Qurb Hi Phir

Marg E Rabt Ban Jaaye

Na Ho Ke Qurb Hi Phir

Marg E Rabt Ban Jaaye

Mile Agar To Zara

Uss Se Faasla Rakhna

Na Jaane Kab Woh Palat Aayen

Dar Khula Rakhna

 

 

Utaar Phenk De Khush Fehmiyun

Ke Saare Ghilaaf

Utaar Phenk De Khush Fehmiyun

Ke Saare Ghilaaf

Jo Shakhs Bhool Gaya Usko

Yaad Kya Rakhna

Na Jaane Kab Woh Palat Aayen

Dar Khula Rakhna

Gaye Howon Ke Liye Dil Mein

Kuch Jagah Rakhna

Na Jaane Kab Woh Palat Aayen

Dar Khula Rakhna

 

Poet : Iftikhar Naseem


<<<<Previous Ghazal   This Album   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top