Naam Khushboo Tha

Saraapaa Bhi

Ghazal Jaisa Tha

Rukh Pe Parda Tha

Woh Parda Bhi

Ghazal Jaisa Tha

Uski Aankhen Bhi Haseen

Aankh Mein Aansoo Bhi Haseen

Gham Mein Dooba Howa

Chehra Bhi

Ghazal Jaisa Tha

 

 

Phool Hi Phool Thay

Phool Hi Phool Thay

Phool Hi Phool Thay

Kaliyaan Thien Haseen Galiyaan Thien

Phool Hi Phool Thay

Kaliyaan Thien Haseen Galiyaan Thien

Aapke Ghar Ka WohRasta Bhi

Ghazal Jaisa Tha

 

 

Faasle Thay Na Judaai Thi

Na Tanhaai Thi

Faasle Thay Na Judaai Thi

Na Tanhaai Thi

Teri Qurbat Ka Woh Lamha Bhi

Ghazal Jaisa Tha

Teri Qurbat Ka Woh Lamha Bhi

Ghazal Jaisa Tha

 

 

Woh Mere Dil Ki Tarrap

Woh Mere Dil Ki Tarrap

Aur Muhabbat Ka Nasha

Woh Mere Dil Ki Tarrap

Aur Muhabbat Ka Nasha

Woh Meri Umar Ka

Woh Meri Umar Ka Hissa Bhi

Ghazal Jaisa Tha

 

 

Woh Na Mera Na Main Uska Tha

Woh Na Mera Na Main Uska Tha

Magar Ae * Dana *

Woh Na Mera Na Main Uska Tha

Magar Ae * Dana *

Dhundhla Dhundhla Sa

Dhundhla Dhundhla Sa

Woh Rishta Bhi

Ghazal Jaisa Tha

Naam Khushboo Tha

Saraapaa Bhi

Ghazal Jaisa Tha

 

Poet : Abbas Dana

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top