Yeh Meri Ghazalen Yeh Meri Nazmen

Yeh Meri Ghazalen Yeh Meri Nazmen

Tamaam Teri Hikayaten Hain

Yeh Tazkiray Teray Lutf Ke Hain

Yeh Tazkiray Teray Lutf Ke Hain

Yeh Shair Teri Shikayaten Hain

Yeh Meri Ghazalen Yeh Meri Nazmen

Tamaam Teri Hikayaten Hain

Yeh Tazkiray Teray Lutf Ke Hain

Yeh Shair Teri Shikayaten Hain

 

Main Sab Teri Nazar Kar Raha Hoon

Main Sab Teri Nazar Kar Raha Hoon

Yeh Unn Zamanoon Ki Saa'aten Hain

Jo Zindagi Ke Naye Safar Mein

Tujhe Kisi Waqt Yaad Aayen

To Aik Ek Harf Jee Utthega

Pehen Ke Anfaas Ki Qabahen

Udaas Tanhaaiyon Ke Lamhon Mein

Naach Utthengi Yeh Apsaraayen

Yeh Meri Ghazalen Yeh Meri Nazmen

Tamaam Teri Hikayaten Hain

Mujhe Teray Dard Ke ILaawa

Bhi Aur Dukh Thay Ye Maanta Hoon

Hazaar Gham Thay Jo Zindagi Ki

Talaash Mein Thay Ye Jaanta Hoon

Mujhe Teray Dard Ke ILaawa

Bhi Aur Dukh Thay Ye Maanta Hoon

Hazaar Gham Thay Jo Zindagi

Ki Talaash Mein Thay Ye Jaanta Hoon

Mujhe Khabar Thi Ke Teray Aanchal

Mein Dard Ki Rait Chaanta Hoon

Magar Har Ek Baar Tujh Ko Chhu Ke

Yeh Rait Rang E Hina Bani Hai

Yeh Zakham Gulzar Ban Gaye Hain

Yeh Aah E Sozaan Ghataa Bani Hai

Yeh Dard Mauj E Sabaa Howa Hai

Yeh Aag Dil Ki Sadaa Bani Hai

Yeh Meri Ghazalen Yeh Meri Nazmen

Tamaam Teri Hikayaten Hain

 

Aur Ab Yeh Saari Mataa'ye Hasti

Yeh Phool Yeh Zakham Sab Teray Hain

Yeh Dukh Nohay Yeh Sukh Ke Naghme

Jo Kal Meray Thay Woh Ab Teray Hain


Aur Ab Yeh Saari Mataa'ye Hasti

Yeh Phool Yeh Zakham Sab Teray Hain

Yeh Dukh Nohay Yeh Sukh Ke Naghme

Jo Kal Meray Thay Woh Ab Teray Hain

 

Jo Teri Qurbat Teri Judaai Mein Kat Gaye

Roz O Shab Teray Hain

Woh Tera Shaair Tera Mughani

Woh Jis Ki Baatein Ajeeb Si Hai

Woh Jis Ke Andaaz Khusrawana Thay

Aur Adaayen Ghareeb Si Thien

Woh Jis Ke Jeenay Ki Khuwahishen Bhi

Khud Usske Apne Naseeb Si Thien

Na Pooch Usski Ke Woh Deewana

Bohat Dinon Ka Ujarr Chuka Hai

Woh KohKan To Nahin Tha Lekin

Karri Chataanon Se Larr Chuka Hai

Woh Thak Chuka Hai Aur Uss Ka Taisha

Ussi Ke Seenay Mein Garrh Chuka Hai

Woh Thak Chuka Hai Aur Uss Ka Taisha

Ussi Ke Seenay Mein Garrh Chuka Hai

Woh Thak Chuka Hai Aur Uss Ka Taisha

Ussi Ke Seenay Mein Garrh Chuka Hai

Yeh Meri Ghazalen Yeh Meri Nazmen

Tamaam Teri Hikayaten Hain

Yeh Tazkiray Teray Lutf Ke Hain

Yeh Shair Teri Shikayaten Hain

Yeh Meri Ghazalen Yeh Meri Nazmen

Tamaam Teri Hikayaten Hain

Yeh Tazkiray Teray Lutf Ke Hain

Yeh Shair Teri Shikayaten Hain

Yeh Meri Ghazalen Yeh Meri Nazmen

Tamaam Teri Hikayaten Hain


Poet : Ahmed Faraz

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top