Kabhi Aah Lab Pe Machal Gayi

Kabhi Ashk Aankh Se Dhal Gaye

Ye Tumhaare Gham Ke Charaagh Hain

Kabhi Bujh Gaye Kabhi Jal Gaye

Kabhi Aah Lab Pe Machal Gayi

 

Main Khayal O Khuwaab Ki Mehfilen

Na Baqadar E Shauq Sajaa Saka

Main Khayal O Khuwaab Ki Mehfilen

Na Baqadar E Shauq Sajaa Saka

Teri Ek Nazar Ke Saath Hi

Mere Sab Iraade Badal Gaye

Ye Tumhaare Gham Ke Charaagh Hain

Kabhi Bujh Gaye Kabhi Jal Gaye

Kabhi Aah Lab Pe Machal Gayi

 

Kabhi Rang Mein Kabhi Roop Mein

Kabhi Chaaon Mein Kabhi Dhoop Mein

Kabhi Rang Mein Kabhi Roop Mein

Kabhi Chaaon Mein Kabhi Dhoop Mein

Kahin Aaftaab E Nazar Hain Woh

Kabhi Mahtab Mein Dhal Gaye

Ye Tumhaare Gham Ke Charaagh Hain

Kabhi Bujh Gaye Kabhi Jal Gaye

Kabhi Aah Lab Pe Machal Gayi

 

Jo Fanaa Howe Gham E Ishq Mein

Unhe Zindagi Ka Na Gham Howa

Jo Fanaa Howe Gham E Ishq Mein

Unhe Zindagi Ka Na Gham Howa

Jo Na Apni Aag Mein Jal Sake

Woh Paraayi Aag Mein Jal Gaye

Ye Tumhaare Gham Ke Charaagh Hain

Kabhi Bujh Gaye Kabhi Jal Gaye

Kabhi Aah Lab Pe Machal Gayi

 

Tha Unhe Bhi Meri Tarah Junoon

To Phir Unn Mein Mujhe Mein Ye Farq Kyun

Tha Unhe Bhi Meri Tarah Junoon

To Phir Unn Mein Mujhe Mein Ye Farq Kyun

Main Garift E Gham Se Na Bach Saka

Woh Hadood E Gham Se Nikal Gaye

Ye Tumhaare Gham Ke Charaagh Hain

Kabhi Bujh Gaye Kabhi Jal Gaye

Kabhi Aah Lab Pe Machal Gayi

Kabhi Ashk Aankh Se Dhal Gaye

Ye Tumhaare Gham Ke Charaagh Hain

Kabhi Bujh Gaye Kabhi Jal Gaye

Kabhi Aah Lab Pe Machal Gayi

 

Poet : Rashid Kamil

Post a Comment

  1. Beautiful Ghazal, Ustad ji ke bare main to kya hi kaha jaye.Behtareen.Behad umda peshkash ❤️❤️

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thank You So Much Puneet Ji Salamat Rahen :)

      Delete

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top