Yeh Faasla Jo Parra Hai

Mere Gumaan Mein Na Tha

Ke Abki Baar Zamana Bhi

Darmiyaan Mein Na Tha

Yeh Faasla Jo Parra Hai

Mere Gumaan Mein Na Tha

 

 

Koi Bhi Nazm E Chaman Ho

Yeh Humne Dekha Hai

Koi Bhi Nazm E Chaman Ho

Yeh Humne Dekha Hai

Sahar Ka Naghma-Saraa

Shaam E Aashiyaan Mein Na Tha

Ke Abki Baar Zamana Bhi

Darmiyaan Mein Na Tha

Yeh Faasla Jo Parra Hai

Mere Gumaan Mein Na Tha

 

 

Ke Jiske Haath Mein Pathhar

Kamaan Mein Teer Na Ho

Ke Jiske Haath Mein Pathhar

Kamaan Mein Teer Na Ho

Ke Jiske Haath Mein Pathhar

Kamaan Mein Teer Na Ho

Koi Bhi Aisa Mere Shehar E Mehrubaan

Mein Na Tha

Ke Abki Baar Zamana Bhi

Darmiyaan Mein Na Tha

Yeh Faasla Jo Parra Hai

Mere Gumaan Mein Na Tha

 

 

Duaen Maine Hi Maangi Thien

Rut Badalne Ki

Duaen Maine Hi Maangi Thien

Rut Badalne Ki

*Faraz* Mera Nasheman Bhi Gulsitaan

Mein Na Tha

Ke Abki Baar Zamana Bhi

Darmiyaan Mein Na Tha

Yeh Faasla Jo Parra Hai

Mere Gumaan Mein Na Tha

Ke Abki Baar Zamana Bhi

Darmiyaan Mein Na Tha

Yeh Faasla Jo Parra Hai

Mere Gumaan Mein Na Tha

 

 

Poet : Ahmed Faraz


<<<<Previous Ghazal   This Album    End

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top