Maikade Wale Mujhe Bhool Kahan Paate Hain

Jab Bhi Uthti Hai Ghataa Jaam Chalak Jaate Hain

Maikade Wale

Teri Aankhon Ke Ujaale Tere Hoonton Ke Kanwal

Chand Saaye Hain Jo Aankhon Mein Utar Aate Hain

Maikade Wale

Din Nikalta Hai Jo Uthti Hai Tere Rukh Se Niqaab

Raat Hoti Hai Jo Gaisoo Teray Lehraate Hain

Maikade Wale

Aik Muddat Howi *Faiyaz* Ko Unse Bichrre

Aaj Tak Unki Nigaahon Ke Payaam Aate Hain

Maikade Wale Mujhe Bhool Kahan Paate Hain

Maikade Wale Mujhe Bhool Kahan Paate Hain

Jab Bhi Uthti Hai Ghataa Jaam Chalak Jaate Hain

Maikade Wale

Poet : Faiyaz Rifat

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

Top