Hijr Ki Rut Ghamgeen Fizaaen

Uff Ri Muhabbat Haaye Jawaani

Jeene Ke Din Marne Ki Duayen

Uff Ri Muhabbat Haaye Jawaani

Hijr Ki Rut

 

Wadaay Ki Shab Khamosh Fizaaen

Dil Mein Khalish Woh Aayen Na Aayen

Wadaay Ki Shab Khamosh Fizaaen

Dil Mein Khalish Woh Aayen Na Aayen

Dar Pe Nigaahen Lab Pe Duayen

Uff Ri Muhabbat Haaye Jawaani

Hijr Ki Rut

 

Meheki Howi Gulshan Ki Fizaeen

Behki Howi Saawan Ki Hawaaen

Meheki Howi Gulshan Ki Fizaeen

Behki Howi Saawan Ki Hawaaen

Haath Mein Saaghar Sar Pe Ghataayen

Uff Ri Muhabbat Haaye Jawaani

Hijr Ki Rut

 

Koochay Se Unke Rooth Ke Aana

Aate Hi Lekin Phir Wahin Jaana

Koochay Se Unke Rooth Ke Aana

Aate Hi Lekin Phir Wahin Jaana

Roz Muaafi Roz Khataayen

Uff Ri Muhabbat Haaye Jawaani

Hijr Ki Rut



Rukhsat E Jaana Aik Qayamat

Uss Pe Qayamat Mujhse Ijaazat

Rukhsat E Jaana Aik Qayamat

Uss Pe Qayamat Mujhse Ijaazat

Aankh Mein Aansoo Lab Pe Duayen

Uff Ri Muhabbat Haaye Jawaani

Hijr Ki Rut Ghamgeen Fizaaen

Uff Ri Muhabbat Haaye Jawaani

Hijr Ki Rut

 Poet : Khumar Barabankvi


Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top