Aah Ko Chaahiye Ek Umar Asar Hone Tak

Aah Ko Chaahiye Ek Umar Asar Hone Tak

Kaun Jeeta Hai Teri Zulf Ke Sar Hone Tak

Aah Ko Chaahiye



Aashiqui Sabar Talab

Aashiqui Sabar Talab Aur Tamanna Betaab

Aashiqui Sabar Talab Aur Tamanna Betaab

Dil Ka Kya Rang Karon Khoon E Jigar Hone Tak

Dil Ka Kya Rang Karon Khoon E Jigar Hone Tak

Aah Ko Chaahiye Ek Umar Asar Hone Tak

Aah Ko Chaahiye



Hum Ne Maana

Hum Ne Maana Ke Taghaful Na Karoge Lekin

Hum Ne Maana Ke Taghaful Na Karoge Lekin

Khaak Ho Jayenge Hum Tumko Khabar Hone Tak

Khaak Ho Jayenge Hum Tumko Khabar Hone Tak

Aah Ko Chaahiye Ek Umar Asar Hone Tak

Aah Ko Chaahiye


 

Partav E Khur Se Hai Shabnam Ko Fanaa Ki Taleem

Partav E Khur Se Hai Shabnam Ko Fanaa Ki Taleem

Main Bhi Hoon Aik Inayat Ki Nazar Hone Tak

Main Bhi Hoon Aik Inayat Ki Nazar Hone Tak

Aah Ko Chaahiye Ek Umar Asar Hone Tak

Aah Ko Chaahiye

 

 

Gham E Hasti Ka * Asad *

Gham E Hasti Ka * Asad * Kis Se Ho Juzmarg ILaaj

Gham E Hasti Ka * Asad * Kis Se Ho Juzmarg ILaaj

Shama Har Rang Mein Jalti Hai Sahar Hone Tak

Shama Har Rang Mein Jalti Hai Sahar Hone Tak

Aah Ko Chaahiye Ek Umar Asar Hone Tak

Aah Ko Chaahiye

Kaun Jeeta Hai Teri Zulf Ke Sar Hone Tak

Aah Ko Chaahiye

 

Poet : Mirza Asad Ullah Khan Ghalib

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top