Ye Ghazal *Qamar *

Ustad Qamar Jalalvi Ki Hai

Mareez E Muhabbat Unhi Ka Fasaana

Mareez E Muhabbat Unhi Ka Fasaana

Sunata Raha Dam Nikalte Nikalte

Mareez E Muhabbat Unhi Ka Fasaana

Sunata Raha Dam Nikalte Nikalte

Magar Zikar Shaam E Alam Jabke Aaya

Magar Zikar Shaam E Alam Jabke Aaya

Charaagh E Sahar Bujh Gaya Jalte Jalte

Mareez E Muhabbat Unhi Ka Fasaana

 

 

Iraada Tha Tarq E Muhabbat Ka Lekin

Faraib E Tabassum Mein Phir Aa Gaye Hain

Iraada….

Iraada Tha Tarq E Muhabbat Ka Lekin

Faraib E Tabassum Mein Phir Aa Gaye Hain

Abhi Kha Ke Thokar Sanmbhalne Na Paaye

Abhi Kha Ke Thokar Sanmbhalne Na Paaye

Ke Phir Khaayi Thokar Sanmbhalte Sanmbhalte

Abhi Kha Ke Thokar Sanmbhalne Na Paaye

Ke Phir Khaayi Thokar Sanmbhalte Sanmbhalte

Mareez E Muhabbat Unhi Ka Fasaana

 


Magar Koi Waada Khilafi Ki Had Hai

Hisaab Apne Dil Mein Laga Kar To Dekho

Magar Koi

Koi……………..

Magar Koi Waada Khilafi Ki Had Hai

Hisaab Apne Dil Mein Laga Kar To Dekho

Qayamat Ka Din Aa Gaya Rafta Rafta

Qayamat Ka Din Aa Gaya Rafta Rafta

Mulaqaat Ka Din Badalte Badalte

Qayamat Ka Din Aa Gaya Rafta Rafta

Mulaqaat Ka Din Badalte Badalte

Mareez E Muhabbat Unhi Ka Fasaana

 

Unhe Khat Mein Likha Tha Dil Muztarib Hai

Jawaab Unka Aaya Muhabbat Na Karte

Unhe Khat Mein Likha Tha Dil Muztarib Hai

Jawaab Unka Aaya Muhabbat Na Karte

Tumhe Dil Lagaane Ko Kisne Kaha Tha

Tumhe Dil Lagaane Ko Kisne Kaha Tha

Behel Jayega Dil Behelte Behelte

Mareez E Muhabbat Unhi Ka Fasaana

Sunata Raha Dam Nikalte Nikalte

Mareez E Muhabbat Unhi Ka Fasaana



Maqta Pesh E Khidmat Hai

Woh Mehmaan Rahe Bhi To Kab Tak Hamaare

Woh Mehmaan Rahe Bhi To Kab Tak Hamaare

Howi Shama Gul Aur Na Doobe Sitaare

Woh Mehmaan Rahe Bhi To Kab Tak Hamaare

Howi Shama Gul Aur Na Doobe Sitaare

*Qamar* Is Qadar Unko Jaldi Thi Ghar Ki

*Qamar* Is Qadar Unko Jaldi Thi Ghar Ki

Woh Ghar Chal Diye Chaandni Dhalte Dhalte

Mareez E Muhabbat Unhi Ka Fasaana

Sunata Raha Dam Nikalte Nikalte

Magar Zikar Shaam E Alam Jabke Aaya

Magar Zikar Shaam E Alam Jabke Aaya

Charaagh E Sahar Bujh Gaya Jalte Jalte

Mareez E Muhabbat Unhi Ka Fasaana

Unhi Ka Fasaana…….

 

Poet : Ustad Qamar Jalalvi

 

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top