Patjhar Se Hai Gila Na Shikayat Hawa Se Hai
Phoolon Ko Kuch Ajeeb Muhabbat Hawa Se Hai

Sarshaari-E-Shaguftagi-E-Gul Ko Kya Khabar
Mansoob Aik Aur Hikayat Hawa Se Hai

Rakha Hai Aandhiyon Ne Hi Hum Ko Kasheeda Sar
Hum Woh Charaagh Hain Jinhen Nisbat Hawa Se Hai

Uss Ghar Mein Teergi Ke Siwa Kya Rahe Jahan
Dil Shama Par Hai Aur Iraadat Hawa Se Hai

Bas Koi Cheez Hai Ke Sulagti Hai Dil Ke Paas
Yeh Aag Woh Nahin Jisse Suhbat Hawa Se Hai

Sarsar Ko Izan Ho Jo Saba Ko Nahin Hai Baar
Qunj-E-Qafas Mein Zest Ki Sorat Hawa Se Hai

Gulchen Ko Hi Khiraam Saba Se Nahin Hai Khaar
Ab Ke To Baghbaan Ko Adawat Hawa Se Hai

Khushboo Hi Rang Bharti Hai Tasveer-E-Bagh Mein
Bazm-E-Khabar Mein Gul Ki Seyadat Hawa Se Hai

Dast-E-Shajar Mein Rakhe Ke Aa Kar Bikhair De
Aaeen-E-Gul Mein Khaas Riaayat Hawa Se Hai

Ab Ke Bahaar Dekhiye Kya Gul Khilayegi
Dildaadgaan-E-Rang Ko Wehshat Hawa Se Hai


Poet : Parveen Shakir

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top