Aik Khaali Dopehar

Main Bahar Ki Tamaazat Se
Jhulass Kar Aayi To Dekha
Mere Ghar Mein Bhi Wesi Dhoop Meri Muntazir Thi!
Kisi Awaaz Ne Maatha Mera Chooma
Na Koi Dilruba Lehja
Mujhe Banhoon Mein Le Paaya
HasooL-E-Rizq Ki Gehri Mushaqqat Mein
Uthaaye Jaane Wale Zakham Par
Koi Sadaa Marham Fishaan Thi
Aur Na Koi Lafz Hi Iss Ka Rafugar Tha
Main Jis Awaaz Se Labraiz Rehti Thi
Ussi Ke Aik Jar’ae Ko Tarasti Thi
Mere Haathon Mein Ek Tooti Howi Pooja Ki Thaali Thi
Meri Shaamon Ki Tarah Aaj Meri Dopehar Bhi
Tujh Se Khaali Thi!



Poet : Parveen Shakir

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top