Ye Mere Haath Ki Garmi
Jissey Chhuu Kar
Tumhari Aankh Mein Hairat Ke Doorray Hain
Ke Is Se Qabal Jab Bhi Tum Ne Mera Haath Thaama
Baraf  Ka Mausam Hi Paaya Tha
Ye Mausam Mere Andar Kitne Barson Se Frokash Tha
Bahaar Aati Thi
Aur Mere Dareechon Par Kabhi Dastak Na Deti Thi
Gulaabi Baarishen
Mere Liye Mamnoo Thien
Aur Subhu Ki Taaza Hawa Ka Zaaiqa
Main Bhool Baithi Thi
Mere Malboos Se Sab Garam Rangon Ko Shikaayat Thi
Mujhe Bas Baraf Ki Chaadar Pehen’ni Ki Ijaazat Thi
Magar Janaan!
Tumhaare Saath Ne To Rooh Ka Mausam Badal Daala
Yahan Ab Rang Ka Tehwaar Hai
Khushboo Ka Mela Hai
Mera Malboos Ab Gehra Gulaabi Hai
Mere Khuwaabon Ka Chehra Maahtaabi Hai
Mere Haathon Ki Hiddat Aaftaabi Hai
Jissey Chhuu Kar….



Poet : Parveen Shakir

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top