Nazm

Gale Se Apne Lagaaye Mujhko
Samait Kar Apne Baazo’on Mein
Woh Aik Bache Ki Tarah Mujhko Thapak Raha Tha
Aur Apni Khuwaab Afreen Sargoshiyon Mein Mujh Se Ye Keh Raha Tha
Abhi Na Thakna!
Abhi Na Thakna!

Mere Musafir!
Main Jaanti Hoon
Abhi Safar Ibteda Howa Hai
Abhi Musafat Ki Hadd Bhi Likhi Nahin Gayi Hai
Abhi To Jangal Mein Raasta Dhoondhna Parega

Abhi To Raste Mein Shaam Hogi
Ye Shaam Bhi Be Charagh Hogi!
Abhi To Sehra Ki Dhoop Mein Nangey Paa’on Chalna Parega Mujhko
Shajar Milega Na Sar Pe Baadal Ka Saaibaan Koi Taan Dega
Teri Jhalak Ka Abhi Bohat Intezar Karna Parega Mujhko
Abhi To Kachhe Ghharrey Pe Darya Ko Paar Karna Parega Mujhko


Mere Musafir!
Main Jaanti Hoon
Safar Ki Saari Saoobatoon Ko Main Jaanti Hoon
Magar Meri Aankh Mein Jo Ye Raakh Urrh Rahi Hai
Ye Gard Jo Mere Khadokhaal Par Jami Howi Hai
Qabaa-E-Tann Tak Nahin Ruki Hai
Shikastagi Meri Rooh Mein Hai!
Thakan Jo Pichle Safar Ki Hai
Meri Haddiyon Mein Utar Chuki Hai!


Poet : Parveen Shakir

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top