Nazm
Chalo Iss Khuwaab Ko Hum Tarak Kar Den
Aur Aankhon Ko Ye Samjha Den
Ke Har Tasveer Mein Halka Gulaabi Rang Chaahe Se Nahin Aata
Bohat Se Naqsh’ Naqaash-E-Azal Aise Banata Hai
Ke Jin Ka Haashiya Gehra Siyaah
Aur Naqsh Halka Surmaee Rehta Hai
Ye Kabhi Roshan Nahin Hote
Khuda Kuch Kaam Aadhi Raat Ko Karta Hai
Jab Uss Ke Piyaale Mein
Siyaahi Ke Siwa Kuch Bhi Nahin Hota
Ye Khaaka Bhi
Kisi Aisi Hi Saa’at Mein Bana Hoga

Hamaari Aankh Mein Jo Khuwaab Utra Tha
Bohat Khush Rang Lagta Tha
Magar Uss Ke Damakne Mein
Kaee Aankhen Lahu Hotien
Kitaabon Aur Phoolon Se Sajje Jis Ghar Ke Aangan Mein
Hum Apne Aap Ko Khilte Howe Mehsoos Karte Thay
Wahan Ek Aur Ghar Buniyaad Se Yun Sar Uthaata Tha
Ke Hum Andar Se Hill Jaate
Magar Chup Chaap Rehte Thay
Ye Chup Deemak Ki Sorat Hum Ko Ek Din Chaat Jaati!
Tumhaare Dukh Se Main Waqif Hoon
Aur Apne Muqaddar Ki Lakeeron Ki Bhi Mehram Hoon
Hamaare Bass Mein Rangoon Ka Chunaao Hai
Na Khat Ka
So Uss Tasveer Ko Tehleel Kar Den
Hum Apna Kenwass Tabdeel Kar Len!



Poet : Parveen Shakir

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top