Aik Sound Proof Nazm

Bohat Khush Shakal Hai Ye Ghar
Talismi Hai Fiza Iss Ki
Dareechon Ka Hai Rukh Darya Ki Janib
Aur Darwaze Bhi Aksar Baagh Ke Pehlu Mein Khulte Hain!
Uroos-E-Nu Ke Khuwaboon Ki Tarah Naqsheen Hai Har Kamra
Aur Inn Ke Wast Mein ALmaanvi Shammen Seher Tak Jhilmilaati Hain!
Bohat Araasta Mehmaan Khaane Mein
Talaai Qaab Mein Rakhe Howe Asmaar-E-Taaza , Sabz-O-Anaabi
Munqash Jaam-E-Seemi Mein Sharab-E-Keherbaai
Aur Qaf-E-Dehleez Se Lekar
Makeenon Ke Nigareen HijLa Gaah-E-Khuwaab
Aur Dewaan Khaane Tak
Bohat Ghaalecha-E-Sheraz-O-Roma
Aap Ke Qadmon Ki Aahat Is Tarah Se Jazb Karte Hain
Ke Jaise Khaana Zaad Taaj
Mehlon Mein Chhupe Raazon Ko Apne Ganng Seenon Mein
Makeen Sargoshiyon Mein Baat Karte Hain
Sadaa-E-Shaam Ka Zakhmi Parinda
Sheesha-O-Dar Se Barabar Sar Ko Takrata Hai
Lekin Baazyaabi Ki Koi Sorat Nahin Banti
Dareechon Par Kabhi
Baarish Ki Nanhi Si HatheeLi Ki Jhalak
Mujhko Dikhai De Bhi Jaati Hai
Magar Dastak Nahin Aati
Jahan Main Hoon
Wahan Awaaz Ko Rasta Nahin Milta!
Yahan Se Aik Shab Ke Faasle Par
Door Azaadi Ki Moorat Ki Jalu Mein
Shahraah-E-Sharq-E-Awwal Par
TaLismi Rang, Jadooi Fiza
Aik Aur Basti Hai
Jahan Duniya-E-Soim Ke
Kisi Koche Se Aate Bain Ko
Parwana-E-Raahdari-O-Uzma Nahin Milta
Jahan Hum Hain
Wahan Awaaz Ko Rasta Nahin Milta!



Poet : Parveen Shakir

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top