Nazm
Swaad-E-Zindagi Mein
Ek Aisi Shaam Aati Hai
Ke Jis Ke Surmaee Aanchal Mein
Koi Phool Hota Hai
Na Haathon Mein Koi Taara!
Jo Aa Kar Baazo’on Mein Thaam Le
Phir Bhi
Rag-O-Pay Mein Koi Aahat Nahin Hoti
Kisi Ki Yaad Aati Hai
Na Koi Bhool Paata Hai
Na Koi Gham Sulagta Hai
Na Koi Zakham Silta Hai
Galay Milta Hai Koi Khuwaab
Na Koi Tamanna Milti Hai
Swaad-E-Zindagi Mein
Ek Aisi Shaam Aati Hai
Jo Khaali Haath Aati Hai!



Poet : Parveen Shakir

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top