Hawa Jaam-E-Sehat Tajweez Karti Hai

Mujhe Maloom Tha
Ye Din Bhi Dukh Ki Kokh Se Phoota Hai
Meri Maatmi Chaadar
Nahin Tabdeel Hogi Aaj Ke Din Bhi
Jo Raakh Urhti Thi Khuwabon Ki Badan Mein
Yunhi Aashufta Rahegi
Aur Udaasi Ki Yahi Sorat Rahegi
Main Apne Saug Mein Matam-E-Kinaan
Yun Sar Ba-Zanoo Raat Tak Bethi Rahongi
Aur Mere Khuwabon Ka Pursa Aaj Bhi Koi Nahin Dega….!
Magar Ye Kaun Hai
Jo Yun Mujhe Baahar Bulata Hai
Bari Narmi Se Kehta Hai
Ke Apne Hujra-E-Gham Se Nikal Kar Baagh Mein Aao
Zara Baahar To Dekho!
Door Tak Sabza Bichha Hai
Aur Hari Shaakhon Pe Naranji Shagoofay Muskuraate Hain
Mulaaim Sabz Patoon Par Parree Shabnam
Sunehri Dhoop Mein , Heeray Ki Sorat Jagmagati Hai
Darakhtoon Mein Chhupi Nadi
Bohat Dhemay Suroon Mein Gungunaati Hai
Chamakte Zard Phoolon Se Ladi , Nanhi Paharree Ke Uqab Mein
Nukrai Chasma Khushi Se Khilkhilata Hai
Parind Khush Gloo
Shaakh-E-Shagufta Par Chehekta Hai
Ghanay Jangal Mein Baarish Ka Ghubaar-E-Sabaz
Satah-E-Sheesha-O-Dil Par
Mulaaim Ungliyon Se Marhaba Ke Lafz Likhta Hai
Koi Aata Hai
Aa Kar Chaadar-E-Gham Ko Barree Ahistagi Se
Mere Shano Se Hata Kar
Saat Rangon Ka Dopatta Khool Kar Mujhko Orhhaata Hai
Main Khul Kar Saans Leti Hoon
Mere Andar
Koi Pairon Mein Ghunghroo Baandhta Hai
Raqs Ka Aghaaz Karta Hai
Mere Kanoon Ke Aawezaan Ko Ye Kisne Chhuwa
Jis Se Lawen Phir Se Gulaabi Ho Gayi Hain
Koi Sargoshiyon Mein Phir Se Mera Naam Leta Hai
Fiza Ki Naghmagi Awaaz Deti Hai
Hawa Jaam-E-Sehat Tajweez Karti Hai



Poet : Parveen Shakir

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top