Gila Kaisa
Aseer-E-Shaam-E-Tanhai Se Ye Akhir Gila Kaisa
Tujhe To ILam Tha Zanjeer Ka Meri
Jo Pairon Mein Bhi Hai
Aur Rooh Par Bhi
Main Apne Bakht Ki Qaidi Hoon
Meri Zindagi Mein
Naram Awaazon Ke Jugnoo Kam Chamakte Hain
Faseel-E-Shehar Par Khush Sadaa Taa’ir
Kahan Aa Kar Thehertay Hain
Teri Awaaz Ka Resham Main Kaise Kaat Sakti Thi
Mere Bas Mein Agar Hota
To Saari Umar
Is Resham Se Apne Khuwaab Bunti
Aur Is Rimjhim Ke Andar Bheegi Rehti!
Tujhe To Mere Dukh Maloom Thay Janaan!
Ye Kis Lehjay Mein To Rukhsat Howa Hai!



Poet : Parveen Shakir

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top