Jaise Mishaam-E-Jaan Mein Samaai Howi Hai Raat
Khushboo Mein Aaj Kis Ki Nahaai Howi Hai Raat

Sargoshiyon Mein Baat Karen Abr-O-Baad-O-Khaak
Iss Waqt Kaainaat Pe Chaai Howi Hai Raat

Har Rang Jis Mein Khuwaab Ka Ghhulta Chala Gaya
Kis Rang Se Khuda Ne Banai Howi Hai Raat

Phoolon Ne Iss Ka Jashan Manaaya Zameen Par
Taaron Ne Aasmaan Pe Sajaai Howi Hai Raat

Woh Chaand Chhup Chuka Hai Magar Shehar-E-Deed Ne
Ab Tak Issi Tarah Se Basaai Howi Hai Raat

Subh-E-Jamaal-E-Yaar Ke Jadoo Ko Dekh Kar
Hum Ne Nazar Se Apni Chupai Howi Hai Raat



Poet : Parveen Shakir

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top