Nazm
Pehle Bhi Ye Dil Hijr Se Behaal Howa Hai
Pehle Bhi Bicharne Ki Saza Paayi Hai Iss Ne
Rukhsat Ki Aziyat Mein Jo Shiddat Hai, Sahi Hai
Aaya Hai Bohat Yaad Kisi Chasham Ka Jaadoo
Khud Se Bohat Aayi Kisi Malboos Ki Khushboo
Kheechna Hai Bohat Qalb Ko Guzray Howe Kal Ne
Din Bhar Kabhi Doori Ne Zaboon Haal Rakha Hai
Rukhsat Ki Ghari Thehar Gayi Rooh Mein Jaise!



Iss Baar Jo Aaya Hai Magar, Hijr Ka Mausam
Iss Mein Dil-E-Bemaar Ki Wehshat Hi Alag Hai
Mitti Se Judaai Ki Hikayat Hi Alag Hai
Kuch Dair Ki Takheer Jo Hoti Hai Watan Se
Lagta Hai Ke Ab Jaan Nikal Jayegi Tan Se



Poet : Parveen Shakir

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top