Nazm

Zamistaan Ki Ek Reshmi Shaam Thi
Mere Ghar Ke Saaray Dareeche
Teri Naram Dastak Ke Yun Muntazir Thay
Ke Jaise Azal Se Teri Aahaton Se Shanaasa Hain
KhuwaabGaa Se Fiza
Kamra-E-Mezbaani Talak
Taaza Nargis Ki Khushboo Se Gulnaar Thi
Tu Ne Dehleez Par Paaon Rakha Hi Tha
Ke Mere Ghar Ke Saare Diye Jal Uthhe
Rang Aur Roshni Aur Khushboo Ka Sailaab Tha
Jo Bahaaye Liye Jaa Raha Tha Humein!
Dair Tak Guftagoo Se Charaaghaan Raha
Mausamoon Par,
Siyaasat Pe
Kaar-E-Jahan Aur Kaar-E-Samawaat Par
Par Woh Ek Lafz Jo
Tere Dil Mein Khila
Aur Mere Khuwaab Mein
AnChhuwa Hi Raha!



Poet : Parveen Shakir

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top