Hum Ko Kaafi Hain Yahi Halqa-E-Zanjeer-E-Sukhan

 

Hum Ko Kaafi Hain Yahi Halqa-E-Zanjeer-E-Sukhan

Jao Mil Jul Ke Tumhein Baant Lo Jageer-E-Sukhan

 

Waris-E-Mulk-E-Ghazal Roye To Ro Lene Do

Ghusal-E-Ashkeen Se Howa Karti Hai Tatheer-E-Sukhan

 

Zindagi Raat Hai Aur Raat Bhi Bemaar Ki Raat

Dard Ban Ban Ke Chamakhti Rahay Tanveer-E-Sukhan

 

Guftagoo Jaise Kahin Door Ghazal Gaaye Koi

Khaamoshi. Jaise Ke Lab Kholay Ho Tasveer-E-Sukhan

 

Zabt Ki Dhaar Se Kat Jaata Hai Aahan Ka Jigar

Log Phoolon Pe Rawaan Karte Hain Shamsheer-E-Sukhan



Hum Bhi Aaina Sifat Thay Kabhi Lekin Ab To

Apne Maathe Pe Ubhar Aayi Hai Tehreer-E-Sukhan

 

Hum Jo Mit Jayenge Mit Jayegi Tehzeeb-E-Ghazal

Apni Taqdeer Mein Posheeda Hai Taqdeer-E-Sukhan

 

Wah Wah Kaisi Miyan Aah Bhi Karni Hai Mahaal

Waqai Seene Mein Lag Jaye Agar Teer-E-Sukhan

 

*Badr* Har Fard Ko Insaan Nahin Keh Sakte

*Badr* Har Shair Mein Hoti Nahin Taaseer-E-Sukhan

 

 

Poet : Dr Bashir Badr

<<<<Previous Ghazal   This Book   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top