Hamari Shohraton Ki Maut Benaam O Nishaan Hogi


Hamari Shohraton Ki Maut Benaam O Nishaan Hogi

Na Koi Tazkira Hoga Na Koi Daastaan Hogi

 

Agar Main Lootna Chaahon To Kya Main Loot Sakta Hoon

Woh Duniya Saath  Jo Mere Chali Thi Ab Kahan Hogi

 

Parinde Apni Minqaaron Mein Sab Taare Chhupa Lenge

Jawani Chaar Din Ki Chaandni Hai Phir Kahan Hogi

 

Darakhton Ki Ye Chhaalen Bhi Utar Jaayengi Patte Kya

Ye Duniya Dheere Dheere Aik Din Phir Se Jawaan Hogi

 

Hawaayen Royengi Sar Phhorr Lengi In Pahharron Se

Kabhi Jab Baadalon Mein Chaand Ki Doli Rawan Hogi


 

Kisay Maloom Tha Hum Log Ek Bistar Pe Soyenge

Hifazat Ke Liye Talwaar Apne Darmiyaan Hogi

 

Paseena Band Kamre Ki Umas Ka Jazb Hai Uss Mein

Hamare Tooliye Mein Dhoop Ki Khushboo Kahan Hogi

 

Kisi Gumnaam Pathhar Par Bohat Se Naam Likh Doge

To Qurbani Hamari Is Tarah Se Jaawidaan Hogi

 

Zameenen To Meri Ajdaad Ne Saari Ganwaa Di Hain

Magar Ye Aik Mutthhi Khaak Khud Apna Nishaan Hogi

 

Samandar Borrhhe Ho Jaayenge Aur Ek Faahisha Machhli

Hamare Saahilon Aur Jangalon Ki Hukmaran Hogi

 

Poet : Dr Bashir Badr

                       This Book   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top