Hamara Dard Hamari Dukhi Nawa Se Larre 


Hamara Dard Hamari Dukhi Nawa Se Larre

Sulagti Aag Kabhi Sar Phiri Hawa Se Larre

 

Main Jaanta Hoon Ke Anjaam Kaar Kya Hoga

Akela Patta Agar Raat Bhar Hawa Se Larre

 

Mere Aziz Mujhe Qatal Kar Ke Phaink Aate

Bhala Howa Ke Mere Lab Meri Sadaa Se Larre

 

Sunehri Machhliyaan Baadal Mein Koond Jaati Hain

Badan Wohi Hai Jo Bandish Mein Bhi Qabaa Se Larre

 

Siyaah Barf Mein Thhatthhri Hai Kaainaat Meri

Koi Sitaara Utthe Toot Kar Khalaa Se Larre

 

Tamaam Raat Ki Khoonrez Jang Ka Haasil

Bohat Andhera Tha Apne Hi Dast-E-Paa Se Larre

 

Tumhaare Shehar Mein Kya Ho Gaya Tha Jis Ke Liye

*Bashir* Rotay Rahe Raat Bhar Khuda Se Larre

 

Poet : Dr Bashir Badr

<<<<Previous Ghazal   This Book   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top