Aaya Hi Nahin Hum Ko Aahista Guzar Jana


 

Aaya Hi Nahin Hum Ko Aahista Guzar Jana

Sheeshay Ka Muqaddar Hai Takra Ke Bikhar Jana

 

Taaron Ki Tarah Shab Ke Seene Mein Utar Jana

Aahat Na Ho Qadmon Ki Is Tarah Guzar Jana

 

Nashay Mein Sanmbhalne Ka Fan Yun Hi Nahin Aaya

In Zulfon Se Seekha Hai Lehraa Ke Sanwar Jana

 

Bhar Jaayenge Aankhon Mein Aanchal Se Bandhe Baadal

Yaad Aayega Jab Gul Par Shabnam Ka Bikhar Jana

 

Har Morr Pe Do Aankhen Hum Se Yahi Kehti Hain

Jis Tarah Bhi Mumkin Ho Tum Laut Ke Ghar Jana


 

Pathhar Ko Mera Saaya Aaina Sa Chamkaa De

Jana To Mera Sheesha Yun Dard Se Bhar Jana

 

Ye Chaand Sitaare Tum Auron Ke liye Rakh Lo

Hum Ko Yahin Jeena Hai Hum Ko Yahin Mar Jana

 

Jab Toot Gaya Rishta Sar Sabz Pahharron Se

Phir Tez Hawa Jaane Hum Ko Hai Kidhar Jana

 

Poet : Dr Bashir Badr

<<<<Previous Ghazal   This Book   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top