Mehfil-E-Mai Kashaan Kocha-E-Dilbaraan

 

Mehfil-E-Mai Kashaan , Kocha-E-Dilbaraan

Har Jagah Ho Liye Ab Chalen Dil Kahan

 

Maslihat Chaahti Hai Ke Manzil Milay

Aur Dil Dhoondhta Hai Koi Kaarwaan

 

Chaandni Bhi Meri Tarah Hairat Mein Hai

Chhup Gaya Hai Koi Awaaz De Kar Kahan

 

Jaani Pehchaani Hai Har Adaa , Har Nazar

Haan , Magar Ye Nahin Yaad Dekha Kahan

 

Raat Yun Gham Ne Phir Dil Mein Awaaz Di

Jaise Sehra Ki Masjid Mein Shab Ki Azaan

 

Gard Urr Urr Ke Munh Apna Dekha Kare

Rakhi Hai Raah Mein Aainon Ki Dukaan

 

Kuch To Main Bhi Bohat Dil Ka Kamzor Hoon

Kuch Muhabbat Bhi Hai Fitratan Badgumaan

 

Tazkira Koi Ho Zikr Tera Raha

Awal O Aakhirash , Darmiyan Darmiyan

 

Jaane Kis Des Se Dil Mein Aa Jaate Hain

Chaandni Raat Mein Dard Ke Kaarwan

 

Darmiyan Mein Na Laayen Khuda Ko Bhi Hum

Bas Wohi Woh Sune Jis Ki Hai Daastaan

 

* Badr * Sahib Idhar Ka Na Rukh Kijiye

Dili , Lahore Hain Shehar-E-Jaadogaraan

 

Poet : Dr Bashir Badr

<<<Previous Ghazal    This Book    Next Ghazal>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top