Main Nigaar-E-Fikr-O-Nigaah Ko Kabhi Bhool Kar Bhi Sada Na Doon


Main Nigaar-E-Fikr-O-Nigaah Ko Kabhi Bhool Kar Bhi Sada Na Doon

Ye Ajeeb Sharat-E-Wafa Howi Ke Jo Tum Kaho Main Wohi Kahon

 

Kai Ajnabi Teri Raah Mein Meray Paas Se Yun Guzar Gaye

Jinhen Dekh Kar Ye Tarrap Howi Tera Naam Le Ke Pukaar Loon

 

Meri Aarzoo Hai Ke Aik Raat Bas Aik Chandni Raat Mein

Main Khamosh Baraf Ki Wadiyun Ki Udaas Baanhon Mein So Rahon

 

Ye Hawa Na Jaane Kahan Kahan Bhari Dopehar Mein Liye Phire

Meray Barg Dil Zara Thehar Ja Tujhe Aanso’on Se Main Sainch Loon


 


Kisi Maslihat Se Bahar Khud Meray Lab Ke Paas Thehar Gayi

Meri Aarzoo Thi Khizaan Ke Khushk Udaas Honton Ko Choom Loon

 

Ye Safaid Phool Ki Chaadaren Neem Shabnami Ka Bunna Kafan

Mujhe Kuch Na Do Yahin Rehne Do Ke Issi Gali Ki Main Khaak Hoon

 

Main To Aanso’on Ka Sakoot Hoon Lab-E-Shair Mujhko Sada Na De

Na Kabir Hoon, Na Nazir Hoon , Na Main Mir Hoon , Na Bashir Hoon

 

Poet : Dr Bashir Badr

<<<<Previous Ghazal   This Book   Next Ghazal>>>>

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top