Koi Na Jaan Saka Woh Kahan Se Aaya Tha


Koi Na Jaan Saka Woh Kahan Se Aaya Tha

Aur Uss Ne Dhoop Se Baadal Ko Kyun Milaaya Tha

 

Ye Baat Shayad Logon Ko Pasand Aayi Nahin

Makaan Chota Tha Lekin Bohat Sajaaya Tha

 

Woh Ab Wahan Hai Jahan Raaste Nahin Jaate

Main Jis Ke Saath Yahan Pichle Saal Aaya Tha

 

Suna Hai Uss Pe Chehekne Lagay Parinde Bhi

Woh Aik Pauda Jo Hum Ne Kabhi Lagaaya Tha


 


Charaagh Doob Gaye Kapkapaaye Honton Par

Kisi Ka Haath Hamare Labon Tak Aaya Tha

 

Badan Ko Chhorr Ke Jaana Hai Aasmaan Ki Taraf

Samandaron Ne Humein Ye Sabak Parrhaaya Tha

 

Tamaam Umar Mera Dam Issi Dhuyen Mein Ghhutta

Woh Ek Charaagh Tha Maine Ussey Bujhaaya Tha

 

Poet : Dr Bashir Badr

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top