Muskurana Zakham Ka Bhaaya Mujhe
Muskurana Zakham Ka Bhaaya Mujhe
Ab Mazaa Kuch Dard Mein Aaya Mujhe
Muskurana Zakham Ka Bhaaya Mujhe
Muskurana Zakham Ka Bhaaya Mujhe
Jis Se Mujh Ko Gard E Ruswaee Mili
Jis Se Mujh Ko Gard E Ruswaee Mili
Dil Ussi Kooche Mein Le Aaya Mujhe
Dil Ussi Kooche Mein Le Aaya Mujhe
Muskurana Zakham Ka Bhaaya Mujhe

Mushkilon Ne Raaste Waa Kar Diye
Mushkilon Ne Raaste Waa Kar Diye
Haadsoon Ne Aur Chamkaaya Mujhe
Haadsoon Ne Aur Chamkaaya Mujhe
Muskurana Zakham Ka Bhaaya Mujhe

Barhami Mein Barh Gayi Teri Kashish
Barhami Mein Barh Gayi Teri Kashish
Yeh Bigarrna Bhi Pasand Aaya Mujhe
Yeh Bigarrna Bhi Pasand Aaya Mujhe
Muskurana Zakham Ka Bhaaya Mujhe
Zindagi  Hifz E Khudii Izhaar E Zaat
Zindagi  Hifz E Khudii Izhaar E Zaat
Nukta E *Arif* Ne Samjhaaya Mujhe
Nukta E *Arif* Ne Samjhaaya Mujhe
Muskurana Zakham Ka Bhaaya Mujhe
Ab Mazaa Kuch Dard Mein Aaya Mujhe
Muskurana Zakham Ka Bhaaya Mujhe
Muskurana Zakham Ka Bhaaya Mujhe


Poet : Khalid Mehmood Arif

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top