Bhoole Se Na Bhoolenge Kabhi Guzre Zamaane
Bhoole Se Na Bhoolenge Kabhi Guzre Zamaane
Woh Reshmi Lamhe Woh Muhabbat Ke Fasaane
Bhoole Se Na Bhoolenge Kabhi Guzre Zamaane
Bhoole Se Na Bhoolenge Kabhi Guzre Zamaane
Pairron Ki Ghhani Chha’on Thi Baarish Ka Maheena
Takraaee Tabhi Mujhse Koi Shookh Haseena
Chandan Se Badan Wali Woh Shabnam Si Nazakat
Pehli Hi Nazar Mein Howi Aapas Mein Muhabbat
Khusboo Se Bhari Waadi  , Baharen Hi Baharen
Madhosh Banaati Thi Woh Phoolon Ki Qataaren
Aafat Tha Gham-E-Hijr Musibat Thi Judai
Tum Paas Jo Aaye To Mili Mujhko Khudai
Laayi Thi Woh Saath Apne Kae Aur Khazaane
Bhoole Se Na Bhoolenge Kabhi Guzre Zamaane

Na Dil Pe Mera Haq Tha Na Armaanon Pe Qaaboo
Mujh Par Tha Kuch Aisa Mere Mehboob Ka Jaado
Daaman Mein Jarre Thay Mere Bas Chaand Sitaare
Din Khoob Guzarte Thay Muhabbat Ke Sahaare
Saanson Mein Meri Ab Bhi Hai Woh Rang Woh Garmi
Ab Bhi Hai Mere Haath Mein Uss Haath Ki Narmi
Do Jism Thay Ek Jaan Thay Aisa Bhi Samaan Tha
Is Tarah Judaa Honge Na Yeh Wehem-O-Gumaan Tha
Woh Qasmein Woh Waade Woh Adaa’en Woh Bahaane
Bhoole Se Na Bhoolenge Kabhi Guzre Zamaane
Maloom Na Tha Dega Dagha Mera Muqaddar
Woh Door Chali Jayegi Mujhse Yun Bicharr Kar
Majboor  Hoon Bebas Hoon Main Kuch Kar Nahin Sakta
Khaayi Thi Qasam Usski Main Mar Bhi Nahin Sakta
Halaat Yeh Kehte Hain Ke Woh Meri Nahin Hai
Par Bhool Na Payegi Woh Mujhko Yeh Yaqeen Hai
Ranjish Nahin Ab Yeh Bhi Ke Woh Mujhse Judaa Hai
Woh Khush Ho Salamat Ho Yahi Meri Dua Hai
Kehta Hai Mera Dil Ke Kabhi Pyaar Na Karna
Ho Jaye Agar Pyaar To Izhaar Na Karna
Yaad Usski Chali Aati Hai Tanhai Sajaane
Bhoole Se Na Bhoolenge Kabhi Guzre Zamaane
Woh Reshmi Lamhe Woh Muhabbat Ke Fasaane
Bhoole Se Na Bhoolenge Kabhi Guzre Zamaane
Kabhi Guzre Zamaane
Kabhi Guzre Zamaane
Kabhi Guzre Zamaane……………………….



Poet : Rani Malik

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top