Aise Besharam Aashiq Hain Yeh Aaj Ke
Innko Apna Banaana Ghazab Ho Gaya

Dheere Dheere Kalaaee Lage Thaamne
Innko Ungli Thamaana Ghazab Ho Gaya

Jo Ghar Mein Sil Pe Masaala Talak Na Peess Sake
Unhe Ye Naaz Humein Khaak Mein Milaenge

Kalaae Dekho To Churree Ka Bojh She Na Sake
Aur Uss Pe Daawa Ke Talwaar Hum Uthaaenge

Faraib-O-Makar Mein Innka Nahin Koi Saani
Yeh Jis Ko Das Len Woh Maange Na Umar Bhar Paani

Bara Ajeeb Hai Dastoor Innki Mehfil Ka 
Bulaaya Jaata Hai Izzat Barhaai Jaati Hai

Phir Usske Baad Wahin Qatal Kar Ke Aashiq Ko
Bari Dhoom Se Maiyyat  Unthai Jaati Hai

Khata Hamari  Jo Humne Innse Pyaar Kiya
Bura Kiya Jo Haseenon Pe Aitebaar Kiya

Bhool Humse Howi Innke Aashiq Baney
Paas Innko Bulaana  Ghazab  Ho  Gaya

Thokron Mein Thay Jab Tak To Seedhe Thay Yeh
Arrey Innko Sar Pe Bithaana Ghazab Ho Gaya

Hum Auraton Ko Nazar Se Utaarne Walon
Khabar Bhi Hai Tumhe Sheekhi Baghaarne Walon

Ke Is Zameen Pe *PUTLI* Bhi Aik Aurat Hai
Ke Jis Mein Mard Ko Lalkaarne Ki Himmat Hai

Pehen Ke Sar Pe Dileeri Ka Taaj Baithi Hai
Jo Ghar Mein Thi Woh Singhasan Pe Aaj Baithi Hai

Agar Jhuke To Yeh Dil Kya Hai Jaan Bhi De De
Jo Zid Pe Aaye To Mardon Ki Jaan Bhi Le Le

Agar Phool Ka Ek Haar Hai Yahi Aurat
Jo Zid Pe Aaye To Talwaar Hai Yahi Aurat

Yeh *Putli* Ban Ke Zamaane Ko Morr Sakti Hai
Uthe To Mard Ka Panja Maroor Sakti Hai

Teri Himmat Pe *PUTLI* Humein Naaz Hai
Tera Medaan Mein Aana Ghazab Ho Gaya

Aik Din Bole Farashte Kar Ke Ye Duniya Ki Sair
Ke Yaa Khuda Duniya Teri Sooni Hai Aurat Ke Baghair

Utth Parey Hikmat Dikhaane Ke Liye Qudrat Ke Haath
Soch Li Maula Ne Aurat Ko Janam Dene Ki Baat

Iss Tarah Maalik Ne Ki Kaaregari Ki Ibtedaa
Ke Chaand Se Maanga Ujaala Noor Sooraj Se

Roop Saiyyaron Se Maanga Rang Oosha Se Liya
Pankhari Se Li Nazakat Aur Kaliyon Se Adaa

Shaam Se Kaajal Liya Aur Subha Se Ghaaza Liya
Bijliyon Se Qeher Maanga Aag Se Ghussa Liya

Hausla Chattaan Se Aur Dard Panchi Se Liya
Aasmaan Se Zulam Maanga Sabar Dharti Se Liya

Shaakh Se Angraaiyan Jharne Se Ithlaana Liya
Bulbulay Se Naazuki Nadi Se Balkhana Liya

Aaine Se Hairatein Tasveer Se Khamoshiyan
Leher Se Atkheliyan Maangi Pawan Se Shokhiyaan

Aankh Li Hirni Se Aur Shabnam Se Aansoo Le Liya
Badliyon Se Zulf Nazaron Se Jaadoo Le Liya

Laajwanti Se Sharam Aur  Raatrani Se Haya
Aabro Moti Se Li Sooraj Mukhi Se Li Wafa

Zeher Naagin Se Liya Aur Saanmp Se Dasna Liya
Kaatna Bichhoo Se Maanga Teer Se Chubna Liya

Lomri Se Maang Li Taa Umar Ki Makkaariyan
Makhiyon Se Shor  Aur  Machar Se Li Aiyaariyan

Itni Chezen Jama Ho Ke Jab Lagi Maula Ke Haath
Aur Is Sab Ko Milaya Jab Khuda Ne Aik Saath

Tab Kahin Jaa Kar Bari Mehnat Se Ek Morat Bani
Dilnasheen Paikar Bana Ek Dilruba Soorat Bani

Dekh Kar Apni Qalakaari Ko Maula Hans Para
Aur Ussi Anmol Shay Ka Naam Aurat Rakh Diya

Rakh Chuka Jab Naam Usske Baad Yun Kehne Laga 
Kya Main Bana Kar Tujhe Khud Pareshaan Hoon

Main Bana Kar Tujhe Khud Pareshaan Hoon
Tujhko Duniya Mein Laana Ghazab Ho Gaya

Jab Mere Maula Ne Socha Mard Ko Paida Karey
To Sab Se Pehle Ye Sawaal Aaya Ke Qudrat Kya Karey

Patharon Se Sangdili Aur Berukhi Taqdeer Se
Qeher Toofanon Se Maanga Aur Ghazab Shamsher Se

To Li Gadhe Se Aqal Kawwe Se Siyaana Pan Liya
Aur Kuch Kuttey Ki Terhe Dum Se Terha Pan Liya

Ghaat Li Billi Se Aur Choohe Se Maanga Bhaagna
Aur  Ullo  Se  Liya  Raatoon  Ko  Isska  Jaagna

Le Liya Tootey Se Aankhen Phair Lene Ka Chalan
Aur Diya Hirs-O-Hawas Laalach Ka Bhi Deewanapan

To Zeher Phailaane Ki Aadat Issko De Di Naag Ki
Dil  Diya  Pathar  Ka  Issko  Aur  Fitrat  Aag  Ki

Li Gayi Girgit Se Har Dam Rang Badalne Ki Adaa
Jis  Se  Aurat  Ko  Diya  Karta  Rahe  Dhoka  Sadaa


To Issko Nafarmaaniyan Bakhshi Gayi Shaitaan Ki
Jhoot Boley Taa Ke Ye Kha Kar Qasam Bhagwaan Ki

Bandaron Se Cheena Jhapti Aur Uchal Langoor Se
Algharaz Har Chez Le Li Paas Se Aur Door Se

Leke Mitti Mein Masala Jab Ye Milwaaya Gaya
Farq Uss Dam Mard Ki Fitrat Mein Ye Paaya Gaya

Ke Mard Ke Putlon Mein Jis Dam Jaan Dauraae Gayi
To Uss Mein  Aurat Ki Bhi Thori Si  Adaa  Paayi  Gayi 

Auraton Mein Mard Ki Sorat Nahin Milti Janaab
Par Inhi Mardon Mein Milte Hain Zanaane Behisaab

Shakal Mardon Ki To Aadat Ke Zanaane Ho Gaye
Aur Kya Khuda Ne Chaaha Tha Kya Najaane Ho Gaye

Ban Chuka Jab Mard To Maula Ne Mere Ye Kaha 
Kya! Ke Acha Khaasa Banaaya Tha Maine Issey

Acha Khaasa Banaaya Tha Maine Issey
Ban Gaya Yeh Zanaana Ghazab Ho Gaya

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top