Ghairon Se Ab Suna Karo Naghme Bahaar Ke

Hum To Chale Mataa’ye  Dil O Jaan Haar Ke

Baad E Sahar Ne Jab Tere Aane Ki Di Naveed

Murjhaaye Phool Khil Utthe Mere Mazaar Ke
Ghairon Se Ab Suna Karo Naghme Bahaar Ke
Ghairon Se Ab Suna Karo Naghme Bahaar Ke
Aksar Ussi Pe Jaa Ke Giri Barq E BeAmaan

Puruday Turday Bulaand Ho Gaye Jis Shaakhsaar Ke
Ghairon Se Ab Suna Karo Naghme Bahaar Ke
Ghairon Se Ab Suna Karo Naghme Bahaar Ke

Jalne Ko Dil To De Diya Dil Ko Zubaan Na Di

Dekhe Hain Humne Hosle Parwardegaar Ke
Ghairon Se Ab Suna Karo Naghme Bahaar Ke
Ghairon Se Ab Suna Karo Naghme Bahaar Ke
Sooraj Ki Dhoop Bhi Unhein Shayad Hi Dho Sake

Jo Haashiye Ufaq Pe Hain Gard O Ghubaar Ke
Ghairon Se Ab Suna Karo Naghme Bahaar Ke
Ghairon Se Ab Suna Karo Naghme Bahaar Ke
Hum To Chale Mataa’ye  Dil O Jaan Haar Ke
Ghairon Se Ab Suna Karo Naghme Bahaar Ke
Ghairon Se Ab Suna Karo Naghme Bahaar Ke

Poet : Khalid Mehmood Arif

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

Top