Tumhari Saalgirah Par

Ye Chaand Aur Ye Abr-E-Rawaan Guzarta Rahe
Jamaal-E-Shaam Teh-E-Asmaan Guzarta Rahe

Bhara Rahe Teri Khushboo Se Tera Sehan-E-Chaman
Bas Aik Mausam Anmbar Fishaan Guzarta Rahe

Sama’aten Tere Lehje Se Phool Chunti Rahen
Dilon Ke Saaz Pe To Naghma Khuwaan Guzarta Rahe

Khuda Kare Teri Aankhen Hamesha Hansti Rahen
Dayar-E-Waqt Se To Shaadmaan Guzarta Rahe

Main Tujhko Dekh Na Paon To Kuch Malaal Nahin
Kahin Bhi Ho Tu’ Sitaara Nishaan Guzarta Rahe

Main Maangti Hoon Teri Zindagi Qayamat Tak
HawaKi Tarah Se Tu Javidaan Guzarta Rahe

Mera Sitaara Kahin Toot Kar Bikhar Jaaye
Falak Se Tera Khat-E-Kehkashaan Guzarta Rahe

Main Teri Chaaon Mein Kuch Dair Baith Loon Aur Phir
Tamaam   Raasta   Be  Saibaan   Guzarta   Rahe

Ye Aag Mujhko Hamesha Kiye Rahe Roshan
Mere Wajood Se To Shola Saan Guzarta Rahe

Main Tujhko Dekh Sakon Aakhri Basarat Tak
Nazar Ke Saamne Bas Ek Samaan Guzarta Rahe

Hamara Naam Kahin To Likha Howa Hoga
Mah-O-Najoom Se Ye Khaakdaan Guzarta Rahe

Main Tera Saath Na De Paaon Phir Bhi Tera Safar
Gulaab-O-Khuwaab Ke Hi Darmiyaan Guzarta Rahe

Main Teray Seene Pe Sar Rakh Ke Waqt Bhool Gayi
Khayal Tezi-E-Umar-E-Rawaan Guzarta Rahe!




Poet : Parveen Shakir

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top