Nasrri Nazm
Inn Dinon
Meri Apne Aap Se Bol Chaal Band Hai!
Mere Andar Ek Baanjh Ghussa
Phunkaarta Rehta Hai
Na Mujhe Dassta Hai
Na Meray Gird Apni Giraft Dheeli Karta Hai
Naino Ki Sarzameen
Aik Baar Phir Surkh Hai
Faraat Ke Paani Par
Ibn-E-Ziyaad Ke Tarafdaron Ka Aik Baar Phir Qabza Hai
Zameen Aur Aasman
Aik Baar Phir Shashmaahe Ka Lahoo
Wasool Karne Se Inkaari Hain
Aur Mere Chehre Par Ab Mazeed Lahoo Ki Jagah Nahin!
Faateh Fauj Roshni Aur Aag Ke Farq Ko Nahin Samajhti!
Sehra Ki Raat Kaatne Ke Liye Unhein Alaa'o Ki Zaroorat Thi
So Unho Ne Mere Kutabkhaane Jala Diye!
Lekin Main Ehtijaaj Bhi Nahin Kar Sakti
Mere Baalon Mein Surkh Skaarf Baandha Hai
Aur Mere Gilaas Mein Coca Cola Hans Raha Hai
Mere Saamne Dollar Ki Haddi Parri Howi Hai!




Poet : Parveen Shakir

Post a Comment

Let Me Know If You Want Any Specific Ghazal Lyrics Or Any Word Meaning I Will Try My Best To Reply Fast.

 
Top